zindagi tham liya karte hain badh kar lamhe waqt aane pe badalte hain muqaddar lamhe aa bhi ja tujh ko bulate hain ye kah kar lamhe phir na aaenge bahaaron ke moattar lamhe har ghadi ek sa mausam bhi kahan rahta hai hain kahin phul se komal kahin patthar lamhe sab mein yari hain yahan dosti yari sukh dukh kis ne dekhe hain yahan umr se badh kar lamhe zindagi aaj bhi masruf bahut hai lekin hum chale aae tere pas chura kar lamhe ek na-chiz ko fankar bana dete hain hasil-e-umr hua karte hain dam-bhar lamhe