zindagi to qaid hai aur parda-e-mahfil mein hai

zindagi to qaid hai aur parda-e-mahfil mein hai
aarzu husn-e-zamin kei gosha-e-ghafil mein hai

dhundhta hai tu jise wo justuju meri bhi hai
maqsad-e-ahl-e-nazar to ek hi manzil mein hai

bandish-e-kaun-o-makan parwaz mein hail nahin
hasil-e-jahd-o-amal to jazba-e-kaamil mein hai

zulm kei tarikiyon ko jumbish-e-lab sail-e-nur
bol ki hai waqt tera jo bhi tere dil mein hai

jaan-fishani os kei aur mitti kei talab
kya bujhegi pyas lekin kuchh nami to dil mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close