zindagi tujhko bhi aur tera tamasha dekhun

zindagi tujh ko bhi aur tera tamasha dekhun
apni masum si aankhon se main kya kya dekhun

kya siwa is ke bhala aur nazara dekhun
raat ki shakh pe us chand ko baitha dekhun

raqs karta hua guzra hai abhi hijr ka dukh
dhul chhat jae to aage ka bhi rasta dekhun

ek wo din tha ki ek shakhs tha duniya meri
ek ye din hai ki har shakhs mein duniya dekhun

meri niyyat to bahut bar parakh li us ne
main bhi us shakhs ka is bar irada dekhun

waqt ke sath to khud waqt badal jata hai
so hi khwahish hai ki main khud ko badalta dekhun

aur tu bol pade palken to jhapkaya karo
sochta hun teri taswir ko itna dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close