zindagi tujh ko tere jine ki aadat kha gai dhup is basti ki ye unchi imarat kha gai waza-dari aur rawa-dari ke wo jalwe kahan zehn-o-dil ki kaj-rawi husn-e-sharafat kha gai aap ke alfaz ya bhadke hue shoale hain ye rishta-e-ikhlas ko un ki tamazat kha gai dekhiye zehni kudurat aur khabasat ka mazaq ek ibaadat-gah ye gandi siyasat kha gai kho gain sher-o-sukhan husn-e-bayan ki lazzaten sara husn-e-shairi sikkon ki chahat kha gai daere hirs-o-hawas ke jis qadar badhte gae khud-faramoshi badhi husn-e-qanaat kha gai kitni hi labrez ho husn-e-maani se 'tarab' un ke andaz-e-takhatub ko tawalat kha gai