yakta-e-rozgar nahin fikr-o-fan mein hum ye kam nahin ki baithe hain ahl-e-sukhan mein hum tazin-e-kaenat hi hai maqsad-e-hayat shabnam jo hain chaman mein to anjum gagan mein hum ghurbat ne ki hai is tarah tazin-e-zindagi lagte hain shahkar har ek pairahan mein hum tauba na yaad aai gunahon ki bhid mein ab munh chhupae jate hain dekho kafan mein hum aasuda-e-hayat rahe jis ki god mein dafnae jaenge isi khak-e-watan mein hum taskhir-e-kaenat mein masruf hai jahan uljhe hue hain aaj bhi rasm-e-kuhan mein hum khate rahenge yunhi zamane ki thokaren aawara-e-nifaq hain jab tak watan mein hum taslim khush-libasi mein guzri hai zindagi kitne hasin lagte hain lekin kafan mein hum karti hai rashk gardish-e-dauran bhi aaj tak is tarah shadman rahe ranj-o-mehan mein hum be-sakhta chhalak padi hai chashm-e-iltifat yun sangsar-e-gham rahe hain anjuman mein hum jaur-o-sitam ko had se guzar jaane do 'tarab' haq ka nisab laenge apne watan mein hum