zindagi tujh se hamein ab koi shikwa hi nahin ab to wo haal hai jine ki tamanna hi nahin intiha ishq ki hai aaina-e-dil pe mere ma-siwa us ke koi aks ubharta hi nahin mere afkar ko deti hai jila us ki jafa gham na hote to ye qirtas sanwarta hi nahin mujh ko haq baat ke kahne mein tammul kyun ho main wo diwana hun jo dar se darta hi nahin hum ki khwabon se bahal jate the lekin afsos jagti aankhon se to khwab ka rishta hi nahin main ki suraj hu idhar duba udhar ubharunga main wo tairak nahin hun jo ubharta hi nahin waqt ke sath badalne laga har ek 'shafiq' jaise ab mujh se kisi ka koi rishta hi nahin