na sirf tujh se mujhe intiqam lena hai hisab-e-wahshat-e-umr-e-tamam lena hai mere labon pe ye rakh di gai hai kis ki dua ye sari umr mujhe kis ka nam lena hai suna hai us ki nigahen adab-nawaz hain so kisi bhi tarah mujhe ek salam lena hai main ek faqir-e-mohabbat hun mujh ko kya malum ki kis sukhan pe mujhe kitna dam lena hai bas ek tu hi nahin hai mere nishane par zamane bhar se mujhe intiqam lena hai abhi to baqi hain duniya ke ranj bhi aage abhi to dil se mujhe aur kaam lena hai