zindagi yun to bahut ayyar thi chaalak thi maut ne chhu kar jo dekha ek mutthi khak thi jagti aankhon ke sapne dil-nashin to the magar mere har ek khwab ki tabir haibatnak thi aaj kante bhi chhupae hain libaadon mein badan ek zamane mein to fasl-e-gul bhi daman chaak thi tha hamein bhi har qadam pe nak kat jaane ka dar un dinon ki baat hai jab apne munh par nak thi tha ladakpan ka zamana sarfaroshi se bhara hum usi talwar par marte the jo saffak thi doston ke darmiyan sach bolte darta hai wo dushmanon ki bhid mein jis ki zaban be-bak thi