chhupi hai tujh mein koi shai use na ghaarat kar jo ho sake to kahin dil laga mohabbat kar ada ye kis kate patte se tu ne sikhi hai sitam hawa ka ho aur shakh se shikayat kar na ho mukhil mere andar ki ek duniya mein badi khushi se bar-o-bahr par hukumat kar wo apne aap na samjhega tere dil mein hai kya khalish ko harf bana harf ko hikayat kar mere banae hue but mein ruh phunk de ab na ek umr ki mehnat meri akarat kar kahan se aa gaya tu bazm-e-kam-yaqinan mein yahan na hoga koi khush hazar khidmat kar kuchh aur chizen hain duniya ko jo badalti hain ki apne dard ko apne liye ibarat kar nahin ajab isi pal ka ho muntazir wo bhi ki chhu le us ke badan ko zara si himmat kar khulus tera bhi ab zad mein aa gaya 'bani' yahan ye roz ke qisse hain ji bura mat kar