zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke sath rifaten dekhti rah jati hain us ki parwaz wo tasawwur ki hai wabasta tere nam ke sath mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath dam-e-hasti hai khush-aind bhi dilkash bhi magar udte jate hain giraftar usi dam ke sath jab kisi lamha-e-dauran ko tatola hum ne ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke sath un riwayat ko dohraate hain hum az-sar-e-nau wo jo mansub hain sadiyon se tere nam ke sath harf aae na 'tamannai' kahin saqi par aaj mahfil mein chale aae hain hum jam ke sath