zindagi zard zard chehron mein bhik dali gai hai kason mein hum se kya puchhte ho rang-e-jahan hum to zindon mein hain na murdon mein dil-e-masum tut tut gaya hum saje rah gae dukanon mein soe hote hain apne ghar mein hum pae jate hain un ki galiyon mein ab kitabon mein bhi nahin milta pyar hota tha pahle logon mein ya-ilahi bas us ki ek jhalak jis ki khushbu hai meri sanson mein chhan dekhi hai mashriqain ki khak aan baitha hun tere qadmon mein 'nazish' aisa qalandarana mizaj koi hoga to hoga sadiyon mein