kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai hijr ki sham to dil bandh saman deta hai kaun kambakht na chahega nikalna lekin itni mohlat hi tera dam kahan deta hai qaul to ek bhi pura na hua ab dekhun kya dalil us ki mera shoala-bayan deta hai tab-e-nazuk pe guzarta hai garan to guzre zeb wahshi ko yahi tarz-e-fughan deta hai khas bandon ko pukarega idhar to rizwan dawat-e-am idhar shahr-e-butan deta hai ek muddat se badan barf hai lekin ab tak karwaten dil ko koi soz nihan deta hai naznin padhte hain 'rahil' ki ghazlen kya khub dad har sher ki har pir-o-jawan deta hai