zindan mein bhi wahi lab-o-rukhsar dekhte darwaza dekhte kabhi diwar dekhte pasti-nashin ho ke main kitna buland tha gardan jhuka ke tum mera mear dekhte sab daudte the us ki ayaadat ke waste jis ko zara sa nind se bedar dekhte dil baithne lage to nigahen bhi thak gain kab tak teri taraf tere bimar dekhte kis darja aane wale zamane ka khauf tha bajta gajar to sham ke aasar dekhte ab kya kahen wo ajnabi kaisa tha hum jise aankhon pe hath rakh ke bhi lachaar dekhte tere siwa bhi kuchh nazar aana muhaal tha duniya ko dekhte ki tera pyar dekhte na-ashna hain 'ram' jo ghurbat ke nam se wo kash mere daur ke fankar dekhte