zist ka khali katora aap hi bhar jaega apne hi jaisa kisi din wo mujhe kar jaega shahr mein koi na rah paega benam-o-nishan jis taraf shishe ki yurish hogi patthar jaega naddiyan ab bhagti phirti hain sahra ki taraf ab to dariya ke taaqub mein samundar jaega kho chuke hain log apne apne chehron ka waqar jo bhi jaega tera ham-shakl ban kar jaega wo utarwa lega honton se libas-e-khamushi wo yahan koi na koi gul khila kar jaega main hun apne daur ke ek sahab-e-fan ka kamal aane wala mujh pe do aansu baha kar jaega jitni duri se sada dete hain mujh ko wo 'ayaz' us bulandi par kahan mera muqaddar jaega