zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai tu jo suraj hai to phir sae mein chalta kyun hai tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise tu samundar hai to phir aag mein jalta kyun hai mere chehre mein jo shaista-nazar aata hai meri shiryanon mein wo shakhs ubalta kyun hai kal tumhin ne use ye pyala diya tha yaro mo'tariz kyun ho ki wo zahar ugalta kyun hai meri sanson mein sisakne ki sada aati hai ek marghat sa mere sine mein jalta kyun hai jaane kin zarron se us khun ki shanasai hai panw us mod pe hi aa ke phisalta kyun hai mahfil-e-laghw se tahzib ne kya lena hai aise shorida-saron mein tu sambhalta kyun hai