zist kya chiz hai aur zist ka gham kya shai hai tere bandon ke liye dair-o-haram kya shai hai tu ne ab tak jo kiya us ko karam hi samjha hum ne jaana hi nahin tera sitam kya shai hai jo guzarta hai wo rakh deta hai us ja pe jabin kya bataun ki tera naqsh-e-qadam kya shai hai hum ne tai kar li hai taslim-o-raza ki manzil hum ko malum nahin dard-o-alam kya shai hai rind to rind hain ho jate hain zahid bhi asir mushaf-e-rukh pe siyah-zulf ka kham kya shai hai teri aankhon mein do-alam ki khabar padhte hain aise rindon ke liye saghar-e-jam kiya shai hai main to kamtar hun har ek zarra-e-khaki se 'kalim' mujh se is wusat-e-afaq mein kam kya shai hai