zist mein gham ka asar kal ki tarah aaj bhi hai is safine mein bhanwar kal ki tarah aaj bhi hai hadse kar na sake meri mohabbat ko fana dard-e-dil dard-e-jigar kal ki tarah aaj bhi hai ghair mumkin hai sanwar jae gulistan ka nizam baghban tang-nazar kal ki tarah aaj bhi hai dair-o-kaba ki fazaon ka nahin mujh pe asar teri dahliz pe sar kal ki tarah aaj bhi hai hai wahi rang wahi husn wahi ranai tera kucha tera dar kal ki tarah aaj bhi hai hum ne mana ki bahaar aai hai maikhane mein pyas rindon mein magar kal ki tarah aaj bhi hai ye alag baat hai honton pe hansi hai 'nayyar' zakhm sine mein magar kal ki tarah aaj bhi hai