ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna saba se sae se khushbu se pyar mat karna hamein wahan ke bagule bane jo kahte the tawaf-e-kucha-e-shahr-e-nigar mat karna main dhalti dhup ki lau hun mera bharosa kya nigah-e-sham mera intizar mat karna na khud tumhin pe kuchh ilzam-e-waqt aa jae hamara shikwa-e-sabr-o-qarar mat karna ye sach hai ishq hi sabit-qadam nahin mera main kah raha hun mera e'tibar mat karna abhi hai ku-ba-ku phirna tujhe 'musawwir' abhi umid-e-saya-e-diwar-e-yar mat karna