zoam-e-hasti mere idrak se bandha gaya hai aur badan turra-e-pechaak se bandha gaya hai ek aansu teri poshak se bandha gaya hai ya sitara koi aflak se bandha gaya hai ishq ko gesu-e-pechaak se bandha gaya hai aur phir gardish-e-aflak se bandha gaya hai khak udata hun main ta-umr nibhane ke liye ek rishta jo mera khak se bandha gaya hai tute padte hain tamashe ko yahan par nakhchir aaj sayyaad ko fitrak se bandha gaya hai kisht-e-wahshat ho jise dekhni aae dekhe har bagula khas-o-khashak se bandha gaya hai phir wahi harf-e-tamanna hai wahi saat-e-dard phir hamein dida-e-namnak se bandha gaya hai ab kisi kuza-gari ki nahin hajat ki mujhe ta fana ek isi chaak se bandha gaya hai hum gunahgaron ki hai aakhiri ummid wahi ahd ek jo shah-e-laulak se bandha gaya hai kuja ye shokh-ada duniya kuja main 'irfan' mard-e-sada zan-e-bebak se bandha gaya hai