hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya kya mujhe kahna tha us se aur kya kya kah gaya us ki jaanib dekh kar aakhir ye mujh ko kya hua ek sach honton pe mere aate aate rah gaya jo asasa zindagi ka us ne joda umr bhar maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya zulm ki buniyaad par us ne banaya tha mahal sabr ki bas ek hi thokar se wo bhi dhah gaya tum ne to aansu hi dekhe hain tumhein malum kya dard ka dariya meri aankhon se ho kar bah gaya dosti qaem rahe har haal mein ye soch kar doston ne jo diye wo zakhm hans kar sah gaya zindagi ne har qadam par neamaten taqsim kin aur 'sahil' umr ke zer-o-zabar mein rah gaya