zohar-e-ashiqi se darta hun husn ki barhami se darta hun main ne dali kamand suraj par phir bhi main raushni se darta hun aa basa hun gali mein chikhon ki is liye khamushi se darta hun maskh pahchan ho na jae kahin be-amal zindagi se darta hun kuchh safai mein apni kahna hai par teri munsifi se darta hun khar ko khar gul ko gul kah dun main kahan kab kisi se darta hun apni tanhai khub hai 'mohsin' bazm ki be-rukhi se darta hun