zindan mein hun main shahr-e-nigaran se kya mujhe

zindan mein hun main shahr-e-nigaran se kya mujhe
is gulsitan ki baad-e-bahaaran se kiya mujhe

wo kaam apna kar hi gaya ehtiyat se
yun dekhte ho dida-e-hairan se kya mujhe

viraniyan hain gor-e-ghariban si har taraf
lena hai aaj shahr-e-darakhshan se kya mujhe

chhune lage hain hath mere mehr-o-mah ko
mahfil ki aab-o-tab-e-charaghan se kya mujhe

hathon ko zakhm qalb ko mayusiyan milin
is ke siwa mila hai gulistan se kya mujhe

'mohsin' shab-e-siyah ka mara hua hun main
ab wasta ho sham-e-shabistan se kya mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close