zohd kis kis ne lutae hain tumhein kya malum aaj wo kya nazar aae hain tumhein kya malum tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun mere apne bhi parae hain tumhein kya malum kitni viran hain be-nur hain aankhen meri ye diye kis ne bujhae hain tumhein kya malum shauq-e-awara ko sahra-e-faramoshi mein raste dhundne aae hain tumhein kya malum ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhaare dar par aaj kis bhes mein aae hain tumhein kya malum dekh kar haal hamara na hanso ghurbat mein kaun hain kis tarah aae hain tumhein kya malum 'saif' ye dard se mamur kharabe dil ke kitni mushkil se basae hain tumhein kya malum