sakht-jaani ka sahi afsana hai shahid-e-tegh-e-zaban dandana hai maqtal-e-alam mera virana hai dida-e-bismil charagh-e-khana hai sham-e-raushan aariz-e-jaanana hai khal-e-mushkin shama ka parwana hai dil mein aks-e-chehra-e-jaanana hai aaine ka aaine mein khana hai kaun duniya mein rahe diwana hai ek ujda sa musafir khana hai teri mahfil kaba hai ai shama-ru taer-e-qibla-numa parwana hai aankhen malta hun tumhaari zulf se panja-e-mizhgan ba-rang-e-shana hai shama-ruon ki tajalli dekhiye kirmak-e-shab-tab har parwana hai aab-e-khanjar kya sharab-e-nab thi raqs-e-bismil laghzish-e-mastana hai khalq-e-alam ko pahunchta hai gazand nafs-e-ammara sag-e-diwana hai baada-noshan-e-azal hain ser-chashm jis taraf dekhen udhar mai-khana hai abr aata hai to bikti hai sharab naqd-e-rahmat hasil-e-mai-khana hai ek tere nam ka karta hun zikr mujh ko wird-e-subha-e-yak-dana hai khate hain angur pite hain sharab bas yahi maston ka aab-o-dana hai kis taraf karte ho sajde zahido kaba ek ujda hua but-khana hai chashm-e-musa ke hon parde kan mein lan-tarani ka bayan afsana hai thande thande sote hain zer-e-zamin gor apne waste tah-khana hai kya bane sauda tera ai khud-farosh mol jo hum ne kaha baiana hai dekhte hain but meri betabiyan sar bahakna sajda-e-shukrana hai kya tera aaina-e-ru saf hai naqd-e-jaan leta yahan jurmana hai garm nale sard hain ai ham-safir zahiran kunj-e-qafas khas-khana hai ki mai-e-muft aaj qazi ne halal fi-sabilillah har mai-khana hai ikhtilat apne anasir mein nahin jo hai mere jism mein begana hai kya samundar ko dikhaen garmiyan dozakh apna ek aatiash-khana hai ho gae misl-e-sulaiman ahl-e-ishq ai pari kya himmat-e-mardana hai dil hai aaina to askandar hun main husn ki daulat mera nazrana hai arsh tak gardun se dekha ai sanam sat zine ka ye baala-khana hai khel jate hain hazaron jaan par ishq-bazi bazi-e-tiflana hai jaan deta hun magar aati nahin maut ko bhi naz-e-mashuqana hai pate hain naqd-e-zar-e-gul be-hisab bagh-e-alam us ka daulat-khana hai aaj hai mahw-e-shana wo shama-ru har par-e-mahi par-e-parwana hai dil kahan ye nafs-e-ammara kahan aaina pesh sag-e-diwana hai iffat-e-mashshata kis se ho bayan panja-e-maryam tumhaara shana hai mai-kade ke kaam dil se lijiye khum ka khum paimana ka paimana hai lucknow ka mujh ko sauda hai 'munir' dil husain-abaad par diwana hai