zor se aandhi chali to bujh gae sare charagh gum hue jate hain tariki mein manzar aur main hath se bachchon ke nikle meri jholi mein gire ban gae hain dost ye bachchon ke patthar aur main par nahin lekin mayassar taqat-e-parwaz hai dekhiye udte fazaon mein kabutar aur main ab tamaniyyat bahut mahsus hoti hai mujhe ho gaya hai ham-sukhan nila samundar aur main kaise kaise khub-ru chehre the sab ke samne mahw-e-hairat ho gaya hai sara daftar aur main koi bhi pechidgi hael nahin anwar-'sadid' zindagi hai samne manzar-ba-manzar aur main