hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat bulbul ko jis tarah ho gulistan se irtibaat mujh dard-mand-e-ishq ki tadbir hai abas hoga na mere dard ko darman se irtibaat banda hun ishq ka nahin mazhab se mujh ko kaam kyunkar karun main gabru musalman se irtibaat hai rabt mujh ko kucha-e-jaanan se roz-o-shab majnun ko jis tarah tha bayaban se irtibaat mazhab hai mera ishq aur rindi hai mera kaam hai kufr se na mujh ko na iman se irtibaat hai rabt mujh ko qamat-e-jaanan se jis tarah qumri ka howe sarw-e-gulistan se irtibaat 'asim' jahan mein shah-e-khadim ke main siwa kafir hun gar karun kisi insan se irtibaat