zor us par hai na haalat pe qabu yaro jaane ab kya ho mulaqat ka pahlu yaro kitne zakhmon ke tabassum ka pata dete hain meri palkon pe sulagte hue jugnu yaro zakhm is taur se mahke hain sar-e-sham-e-firaq dur tak phail gai dard ki khushbu yaro kitne khwabon ko nichoda hai to un aankhon se aaj tapka hai ye jalta hua aansu yaro donon aalam meri banhon mein simat aae the raat shanon pe pareshan the wo gesu yaro log kahte the na pighlega wo patthar 'shahid' tum ne dekha mere ashaar ka jadu yaro