usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi

usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi
hamare bich mein jo ham-sari bachi hui thi

hamare bich mein ek pukhtagi bachi hui thi
bachi hui thi magar aarzi bachi hui thi

usi ke nur se ye raushni bachi hui thi
mere nasib mein jo tirgi bachi hui thi

usi ke dam pe manaya tha us ne jashn mera
ki dushmani mein bhi jo dosti bachi hui thi

kamal ye tha ki hum bahs haar baithe the
hamare lahje ki shaistagi bachi hui thi

agarche khatm the rishte padosiyon wale
hamare bich mein hamsaegi bachi hi thi

badal chuka tha wo apna mizaj mere liye
magar dikhawe ko ek be-rukhi bachi hui thi

usi ke nur se pur-nur tha ye sara jahan
hamari aankh mein jo raushni bachi hui thi

ab is maqam pe pahuncha diya tha hum ne ishq
junun khatm tha diwangi bachi hui thi

usi ne jod ke rakkha hua tha rishte ko
hamare bich mein jo barhami bachi hui thi

is ek baat ki sharmindagi ne mar diya
mere wajud teri tishnagi bachi hui thi

ubur kar liya sahra to phir se laut aae
junun baqi tha aashuftagi bachi hui thi

main gahe-gahe use yaad kar hi leta tha
isi bahane meri zindagi bachi hui thi

usi ke dam pe padhe bhi gae sune bhi gae
hamare lahje mein jo chashni bachi hui thi

zamane teri hunar-kosh razm ke hathon
main lut chuka tha magar shaeri bachi hui thi

wo kaun raaz tha jis ko bayan kar na sake
wo kaun baat thi jo 'jafari' bachi hui thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close