zuhur-e-nur se dil aaftab hota hai visal-e-qurb se banda khuda nahin hota ye hum ne mana ki ek khak-o-khun ka putla hai magar wo chahne walon ko kya nahin hota hasin khun bahate hain aashiqon ka yun dayar-e-ishq mein kya khun-baha nahin hota to khatkatate hain dar bargah-e-maula ka jab aur koi hamein aasra nahin hota yahan to apni lagan hi ka kul karishma hai rah-e-khuda mein koi rahnuma nahin hota hazaron hafiz-o-khayyam hain zamane mein ki be-misal siwae khuda nahin hota kisi ke kaam na aae jo farz ada na kare wo aur kuchh bhi ho mard-e-khuda nahin hota agar qubul karen us ki wahdat-e-mutlaq to jabr-o-qadr koi masala nahin hota wo shakl badle ki aankhon se ho rahe ojhal kisi wajud ka zarra fana nahin hota yahin kahin wo zaman-o-makan mein pinhan hai ki apni san'a se sanea juda nahin hota