pi leta hun to sach ke siwa kuchh nahin kahta masti mein ba-juz harf-e-dua kuchh nahin kahta waiz ki majalis mein safa-kesh na jaen be-harf-o-hikayat riya kuchh nahin kahta jo chahe kare mujh ko saza de ki jaza de rahta hun main raazi-ba-raza kuchh nahin kahta jab samne aata hai koi paikar-e-khubi juz hamd-e-khuda shukr-e-khuda kuchh nahin kahta jo murshid-e-kaamil hai wo khurshid ke manind bakhshe hai muridon ko ziya kuchh nahin kahta darbar-e-shah-e-husn mein 'diwana' pahunch kar karta hai faqirana sada kuchh kahta