zulf ko abr ka TukDa nahin likhkha maine

zulf ko abr ka tukda nahin likhkha main ne
aaj tak koi qasida nahin likhkha main ne

jab mukhatab kiya qatil ko to qatil likhkha
lakhnawi ban ke masiha nahin likhkha main ne

main ne likhkha hai use maryam o sita ki tarah
jism ko us ke ajanta nahin likhkha main ne

kabhi naqqash bataya kabhi meamar kaha
dast-e-fankar ko kasa nahin likhkha main ne

tu mere pas tha ya teri purani yaaden
koi ek sher bhi tanha nahin likhkha main ne

nind tuti ki ye zalim mujhe mil jati hai
zindagi ko kabhi sapna nahin likhkha main ne

mera har sher haqiqat ki hai zinda taswir
apne ashaar mein qissa nahin likhkha main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close