zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain

zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
dhup mein shaiba-e-sham liye phirte hain

murda basti hai khabar kaun kisi ki lega
sath mein dushman-o-dushnam liye phirte hain

ab junun mein bhi to behosh nahin diwane
ru-ba-sahra hain dar-o-baam liye phirte hain

sard chup-chap zaminon ki tarah hi hum log
apne andar koi kohram liye phirte hain

har-qadam khulta hai ek band gali ki jaanib
har-nafas khadsha-e-anjam liye phirte hain

munfarid apne khad-o-khal na khaka apna
wo jo aglon ne rakha nam liye phirte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close