tandurusti di khuda ne to naqahat na gai yani tauba se bhi isyan ki nadamat na gai shaikh-ji mahfil-e-rindan se ye kahte nikle shukr-sad-shukr ki bazar mein izzat na gai nam baqi hai zamana mein to bhar paya gae mardan-e-khuda khalq se shohrat na gai kis ka jalwa nazar aaya tha use roz-e-azal aaj tak nargis-e-bedar ki hairat na gai mar gaya mar ke bhi thandi na hui lash mari soz-e-furqat ki magar dil se hararat na gai zard nuqra nahin insan ki tarah murda-pasand jo gaya qabr mein tanha gaya daulat na gai hur jo tujh se mushabah thi usi ko dekha marne ke baad bhi zalim teri ulfat na gai nafas bahkata hai piri mein to kahta hun 'sakha' kyun ba-shaitan teri ab bhi shararat na gai