zulf zanjir-e-pa hui jab se hum asir-e-maash hain tab se madrason ne bana diya naukar umr sari ganwai is dhab se pet ki aag kyon nahin bujhti justuju kar rahe hain hum kab se hum faqat mang kar hi jite hain kash ghairat bhi mang len rab se is ko daulat ne kya uthana hai gir gaya jo haya ke markab se khatm-e-quran hai nekiyon ke liye hum ko matlab nahin hai matlab se shaikh-o-sufi utha ke chang-o-rubab dekh ladne chale hain marhab se tirgi mein jala ke dip nae dushmani le rahe hain hum sab se tum ujalon ki baat mat karna tirgi shah ke sath hai ab se chhod 'naqqash' harf-e-sachchai log khaif hain tere mazhab se