zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi aankhon ka matakna hosh-ruba, har ek palak phir waisi hi wo shokh jo guzre misl-e-saba, to bhadke na kyun-kar aatish-e-dil ek taur ki us ki jumbish-e-pa, daman ki jhatak phir waisi hi koi kyun na gareban chaak kare ab dekh ke chhab ko us but ki pinde ka jhalakna hae khuda, choli ki masak phir waisi hi dil kyun na kare sine mein tapish, jab yar ki ho ye rah-o-rawish raftar mein ek albeli ada, aur qad ki lachak phir waisi hi hum kyun na kaf afsos malen, jab we hi tera pa-bos karen daman se ziyaada band-e-qaba, zulfon ki latak phir waisi hi wo mah chhupaya tu ne kahan hai jis se jigar par dagh mere surat to dikha de mujh ko zara jaldi se falak phir waisi hi ai 'mushafi' mere haal pe ab kyun-kar na koi afsos kare be-sakhta dil betab hua aansu ki dhalak phir waisi hi