qayamat hain ye chaspan jame wale gulon ne jin ki khatir khirqe dale wo kala chor hai khal-e-rukh-e-yar ki sau aankhon mein dil ho to chura le nahin uthta dil-e-mahzun ka matam khuda hi is musibat se nikale kahan tak dur baithe baithe kahiye kabhu to pas hum ko bhi bula le dila bazi na kar un gesuon se nahin aasan khilane sanp kale tapish ne dil jigar ki mar dala baghal mein dushman apne hum ne pale na mahke bu-e-gul ai kash yak-chand abhi zakhm-e-jigar sare hain aale kise qaid-e-qafas mein yaad gul ki pade hain ab to jine hi ke lale sataya 'mir' gham-kash ko kinhon ne ki phir ab arsh tak jate hain nale