zulm chakkha ya be-hisi chakkhi kya kabhi tum ne bebasi chakkhi maut milti rahi piyala bhar ek hi ghunt zindagi chakkhi chand jab shakh pe utar aaya tab darakhton ne chandni chakkhi rakh ke ungli zaban par us ki aaj thodi si raushni chakkhi shahd ka zaiqa to chakkha hai kya kabhi aankh sharbati chakkhi us ka lahja samaaton mein ghula jaise kanon ne shairi chakkhi samne rakh ke chae ki pyali chuski chuski teri kami chakkhi aaj aankhon ne us ko dekha tha aaj palkon ne phir nami chakkhi chum kar ek gulab ka chehra titliyon ne bhi dilkashi chakkhi