zulm hai iza-rasani hai wahi

zulm hai iza-rasani hai wahi
waqt badla hai kahani hai wahi

gham ka dariya garche tufan-khez hai
dil ki kashti mein rawani hai wahi

dil jo shamil hai meri buniyaad mein
sab dukhon ka ek bani hai wahi

muddaten guzrin hamein bichhde hue
aasman se bad-gumani hai wahi

dushmanon se jo kabhi mansub thi
doston ki mehrbani hai wahi

qais ko jis ne kabhi majnun kiya
ab mujhe bhi khak udani hai wahi

hausle ‘aql-o-khirad ke past hain
par junun ki hukmrani hai wahi

dusron ke kaam jo aae 'zaki'
dar-haqiqat zindagani hai wahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close