ye baat jaan nahin paya aaina-gar kya

ye baat jaan nahin paya aaina-gar kya
na ho koi pas-e-manzar to phir hai manzar kya

abhi talak meri khana-kharabiyan na gain
chhupa hai aaj bhi shaitan mere andar kya

hai sab hamari ‘aqidat ki kar-farmai
wagarna dewta hota hai koi patthar kya

kisi ki yaad mein jite hain aur marte hain
hai mashghala koi duniya mein is se behtar kya

hamari pyas to shabnam se bujh bhi sakti thi
hamare waste lae ho tum samandar kya

chamak uthe meri palkon pe ashk ke jugnu
hue hain dagh mere dil ke phir munawwar kya

ye kya hua hai ki be-rabt ho gae nuqte
badal gaya hai mere daere ka mehwar kya

chamakti dhup hai rasta hai yaad-e-manzil hai
batao mausam-e-diwangi mein ab ghar kya

'zaki' hamesha nuqush-e-ghazal nikhaarte ho
tumhein hain is ki riwayat sari azbar kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close