zulm ki rah mein diwar hua karte the hum kabhi azm ke kohsar hua karte the shahr sunsan hai un chand se chehron ke baghair jo darichon se numudar hua karte the mujh se mil kar hain ajab aalam-e-hairani mein jo mere fan ke parastar hua karte the zindagi kis qadar aasan hua karti thi log jab sahab-e-kirdar hua karte the us ki zulfon mein chamakte the sitare har pal har ghadi raat ke aasar hua karte the ab wahan fasl imaraat ki ug aai hai jab jagah par ghane ashjar hua karte the teri palkon ke ishaare ko samajh jate the hum kabhi itne samajhdar hua karte the teri taswir nigahon mein saji rahti thi hum to sote mein bhi bedar hua karte the tujh ko ab yaad nahin hai ki teri khatir hum kaise ruswa sar-e-bazar hua karte the jaane kis haal mein hogi wo meri jaan-e-hayat jis ki khatir mere ashaar hua karte the ja chuke ab wo zamane ki mere shahr ke log ishq mein tere giraftar hua karte the be-khabar ho ke zamane ke har ek kaam se hum tere bare mein khabar-dar hua karte the ab use pane ki khwahish bhi nahin hai 'faizan' hum kabhi jis ke talabgar hua karte the