jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goya bujhi bujhi si meri zindagi rahi jis par nigah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigah use dekhti rahi go main raha kashakash-e-dauran se ham-kanar lekin mere labon pe hansi khelti rahi laya hai ishq ne mujhe aise maqam par khud-agahi rahi na khuda-agahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud pa liya aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayal' ki duniya mein mil gaya lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi