zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath

zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath
rakh diya bandh ke chhappar mein use tir ke sath

ghair ko karke riha yar bhi tadbir ke sath
de diya sankhiya thoda sa use khir ke sath

murshidi jaan ka munh jis ne kiya tha kala
aaj bhagi hai mera din bhi usi pir ke sath

wasl ka nim-maza ho gaya hasil mujh ko
raat bhar soya lipat kar teri taswir ke sath

ki muqaddar ki shikayat to harami ne kaha
teri taqdir ka likha teri taqdir ke sath

is tarah phirta hun us shokh ke pichhe pichhe
jaise itwar laga rahta hai har pir ke sath

le ke us shokh ko aaram se chhat par soya
ghair ko dal diya bandh ke shahtir ke sath

phir to hasil ho maza wasl ka duna mujh ko
aqd ho jae agar yar ki ham-shir ke sath

kam-sini hi mein hua shauq-e-asiri paida
barson khela hun main darwaze ki zanjir ke sath

is tarah jumbishen de de ke nikala us ko
aa gaya dil bhi mera khinch ke tere tir ke sath

'bum' sahab ka yahi mashghala hai aahat par
dil ko bahlata hai har dam teri taswir ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close