aaine ke is taraf se us taraf aate hue umr guzri hai khudi ko khud se milwate hue yun samajh lije hamari ishq mein bechaargi dub jaana tha hamein tairakiyan aate hue jaane us shab kya hua tha meri aql-o-hosh ko khud bahakne lag gaya tha us ko samjhate hue be-sabab kuchh bhi nahin tha be-sabab tanqid bhi wo mitae ja raha tha naqsh-e-pa jate hue aap ke pichhe guzari zindagi mat puchhiye katni thi kat li rote hue gate hue ab na lije nam us ka dil ki jis ki zid kiye so gaya hai thak-thaka kar rote chillate hue