zulmat ba-har-maqam KHilaf-e-talab mili

zulmat ba-har-maqam khilaf-e-talab mili
din ka suragh dhundne walon ko shab mili

ai dost tere husn-e-inayat ki khair ho
ye aagahi hamein tere gham ke sabab mili

yaad-e-ghazal-rukhan bhi khayal-e-maash bhi
aasudgi dayar-e-tamanna mein kab mili

nikle the tirgi ke musalsal fareb se
jab raushni mili to hamein jaan-ba-lab mili

qissa teri wafa ka sitam rozgar ke
jo shai hamein mili hai wahi muntakhab mili

fursat-talab masail-e-asr-e-rawan bhi the
lekin tere khayal se fursat hi kab mili

sultan-'rashk' khud se shanasai ke liye
dekhenge khwab fursat-e-tabir jab mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close