zulmat-e-shab-e-hijr ki aafat hai aur tu jo dam hai ghanimat hai ki phir raat hai aur to ek hum se hi milne mein tammul hai wagarna ghairon se wahi teri mulaqat hai aur tu yan roz-e-siyah o shab-e-tarik hai aur hum wan aaina-e-bagh-e-tilismat hai aur tu mar jaane ki ja hai ki sanam do do pahar tak har ek se sar-e-baam ishaaraat hai aur tu sau baaten huin to na mila apne se ai dil kya baat hai teri ki wahi baat hai aur tu ne hur na insan na pari aur na farishta jis husn o sabahat mein teri gat hai aur tu zindan-e-firaq o lab-e-khamosh hai aur hum sair-e-chaman o harf-o-hikayat hai aur tu howega na ye hasti-e-fani ka bakheda ek roz ye hoga ki teri zat hai aur tu naumid na ho hijr mein ai 'mushafi' us se do din ko wahi lutf-o-inayat hai aur tu kudh mat ki faraghat ki bhi aa jae hai saat phir man diwane wahi auqat hai aur tu