raat se aansu meri aankhon mein phir aane laga yak ramaq ji tha badan mein so bhi ghabrane laga wo ladakpan se nikal kar tegh chamkane laga khun karne ka khayal ab kuchh use aane laga lal-e-jaan-bakhsh us ke the poshida jun aab-e-hayat ab to koi koi in honthon pe mar jaane laga haif main us ke sukhan par tuk na rakkha gosh ko yun to naseh ne kaha tha dil na diwane laga habs-e-dam ke mo'taqid tum hoge shaikh-e-shahr ke ye to albatta ki sun kar lan dam khane laga garm milna us gul-e-nazuk-tabiat se na ho chandni mein raat baitha tha sau murjhane laga aashiqon ki paemali mein use israr hai yani wo mahshar-khiram ab panw phailane laga chashmak us mah ki si dilkash did mein aai nahin go sitara subah ka bhi aankh jhapkane laga kyunkar us aaina-ru se 'mir' maliye be-hijab wo to apne aks se bhi dekho sharmane laga