us lafz ka kya matlab hai jo tum mohabbat mein shukr-gizari ke liye ek khase mauqe par istimal karti ho kisi aur jagah kisi aur shakhs ke samne jazbaat ke shiddat se izhaar ke liye kya isi tarah is lafz ko dohraya ja sakta hai? kya ise kahte hue lafzon ki sakht aur durust adaegi ka hamesha khayal rakhna hoga? kya meri thodi si be-ehtiyati us ka mafhum bahut ziyaada tabdil to nahin kar degi kya is lafz ke liye kisi dusri zaban mein koi mutabaadil lafz ziyaada madad-gar sabit nahin hoga? aur sab baaton ke bawajud main jo kuchh chahta hun shayad wazeh na ho sake is lafz ke liye jo tum kahti ho ek khas mauqe par mohabbat mein shukr-guzari ke taur par jab hamesha ki tarah chizen apni jagah tabdil karna chahti hain