dadi-amman kahti hain sari duniya gae ke sing par tiki hai jab ye gae duniya ko ek sing par uthae uthae thak jati hai to use dusre sing par rakh leti hai idhar se udhar hone par gae ke ek sing se dusre sing tak aate aate zara upar ko duniya hil kar rah jati hai dadi-amman ki theory ke mutabiq karachi bhi isi duniya mein singon par kahin waqe hai pichhle kuchh dinon se ye gae kuchh thaki thaki rahne lagi hai aur duniya ko jaldi jaldi singon par idhar udhar karti rahti hai lekin ye baat samajh mein nahin aati aur dadi-amman ki tarah hamein bhi pareshan karti hai ki ab jab gae duniya ko ek sing se badal kar dusre sing par leti hai to hamara karachi hi sab se ziyaada kyun hilta hai