dum

'saghar' kahan se aa gai dil mein dumon ki baat
dum ke baghair aadmi lagta hai wahiyat
milte hain ahl-e-fan ko yahin se muharrikat
hoti thi dum subut mein is ke mohawraat
ustad kah rahe the chhura dil pe chal gaya
dum par hamari panw wo rakh kar nikal gaya
hoti thi ek zamane mein har aadmi ke dum
be-imtiyaz-e-mazhab-o-millat sabhi ke dum
phule nahin samati thi mare khushi ke dum
gardan mein dale phirte the aashiq kisi ke dum
jata tha jab safar pe koi dum hilate the
ek dusre se hath nahin dum milate the
hota jo in dinon kahin dum-dar aadmi
karta dumon se ishq ka izhaar aadmi
rakhta bara-e-hifz na hathiyar aadmi
dum ko chalata jaan ke talwar aadmi
kyun jutiyan barstin kisi bad-khisal par
mashuq dum ko marte aashiq ke gal par
chadhta hai zehn-e-ishq pe jab ishq ka bukhar
dil se ziyaada dum nazar aati hai be-qarar
moti dumon se hota hai akasr sabhi ko pyar
ek dum ke pichhe hote hain dum-chhalle be-shumar
kya thi khabar ye rishta-e-jaan tut jaega
hathon se meri dum ka sira chhut jaega
shoala bara-e-ishq bhadakta nahin koi
kam-zarf mai-kade mein chhalakta nahin koi
tedhi dumon ke sath atakta nahin koi
uljhi dumon ke pas phatakta nahin koi
ek dum bahut hai sare shayatin ke liye
kitni zaruri shai hai khwatin ke liye
hum bhi unhin damon ke hamesha se fan hain
izzat hain khandan ki jo mahfil ki zain hain
thandak hain chashm-e-tar ki kaleje ka chain hain
'saghar' shab-e-firaq ye aashiq ke bain hain
rakhiye khuda ke waste dum ko ghilaf mein
kal shab tahal rahi thi hamare lihaf mein
sau faede dumon ke hain kya kya ginaiye
tare falak se tod ke dharti pe laiye
phunne se dum ke chehre pe powder lagaiye
chamcha na ho to chae bhi dum se chalaiye
wo hi maqam-e-'ghaalib'-o-'iqbaal' paenge
moti dumon ke samne jo dum hilaenge
This is a great ustad k liye shayari. True lovers of savitribai phule shayari marathi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore humdum shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close