ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai is ke sae mein sada pyar ke charche honge khatm jo ho na sakegi wo kahani di hai ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal taj wo shama hai ulfat ke sanam-khane ki jis ke parwanon mein muflis bhi hain zardar bhi hain sang-e-marmar mein samae hue khwabon ki qasam marhale pyar ke aasan bhi hain dushwar bhi hain dil ko ek josh iradon ko jawani di hai ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal taj ek zinda tasawwur hai kisi shaer ka us ka afsana haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin is ke aaghosh mein aa kar ye guman hota hai zindagi jaise mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin taj ne pyar ki maujon ko rawani di hai ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal ye hasin raat ye mahki hui pur-nur faza ho ijazat to ye dil ishq ka izhaar kare ishq insan ko insan bana deta hai kis ki himmat hai mohabbat se jo inkar kare aaj taqdir ne ye raat suhani di hai ek shahanshah ne banwa ke hasin taj mahal sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal